ye naa thi hamaari qismat ke visaal-e-yaar hota
agar aur jiite rahte, yahi intazaar hota
tere vaade par jiye hum to ye jaan jhuuth jaana
ki khushi se mar na jaate, agar e’tibaar hota
teri naazuki se jaana ke bandha tha ahd boda
kabhii tu na tod sakta, agar ustuvar hota
koi mere dil se puchhe, tere tiir-e-niim-kash ko
ye khalish kahan se hoti jo jigar ke paar hota
ye kahan ki dosti hai ke bane hain dost naseh
koi charasaz hota, koi gham-gusar hota
rag-e-sang se tapakta vo lahu ki phir na thamta
jise gham samajh rahe ho ye agar sharar hota
gham agarche jaan gusil hai pa kahan bachen ki dil hai
gham-e-ishq gar na hotaa, gham-e-rozgaar hota
kahun kis se main ki kya hai shab-e-gham buri bala hai
mujhe kya bura tha marna agar ek baar hota
hue mar ke ham jo rusva, hue kyuun na gharq-e-dariya
na kabhi janaza uthta na kahin mazar hota
use kaun dekh sakta ki yagana hai vo yakta
jo dui ki bu bhi hoti, to kahin do-chaar hota
ye masa.il-e-tasavvuf ye tera bayan ghalib
tujhe ham vali samajhte jo na baada khyar hota