Har ek baat pe kahate...

in Audio
Published on:
Recitation by Md. Wahajuddin, New Delhi, 2015

har ek baat pe kahate ho tum ki tu kya hai 
tumhin kaho ke ye andaaz-e-guftugu kya hai 

 

na shole men ye karishma na barq men ye ada 
koi batao ki vo shokh-e-tund-khu kya hai 

 

ye rashk hai ki vo hota hai ham-sukhan tum se 
vagarna khauf-e-bad-amozi-e-adu kya hai 

 

chipak raha hai badan par lahu se pairahan 
hamare jaib ko ab hajat-e-rafu kya hai  

 

jala hai jism jahan dil bhi jal gaya hoga 
kuredte ho jo ab raakh justuju kya hai 

 

ragon men daudte phirne ke ham nahin qaail 
jab aankh hi se na tapka to phir lahu kyaa hai 

 

vo chiiz jis ke liye ham ko ho bahisht aziiz 
sivae baada-e-gulfam-e-mushk-bu kya hai 

 

piyun sharab agar khum bhi dekh luun do-chaar 
ye shisha o qadah o kuuza o subu kya hai 

 

rahi na taqat-e-guftar aur agar ho bhi
to kis ummid pe kahiye ki aarzu kya hai 

 

hua hai shah ka musahib, phire hai itrata 
vagarna shahr men ‘ghalib’ ki aabru kya hai